Pages

Thursday, May 23, 2013

Hast Rekha se Janm Tithi ka gyan

1. Dono Hatho ke Anamika ke dusre aur tisre parv ki khadi Rekhaon ko Ginti kare...
2. unme 611 ko jod dijiye aur yogpfal ko 5 se guna kariye....
3. Gunan phal me 7 ka bhag de shesh shuny hai to Shaniwaar 1 se Ravivaar isi Kram se Janm ka din niklega....

Janm se Surya Rashi....
Dhruvank ko 8 se Guna karke 12 se bhag de jo shesh hoga vahi Sury ki Rashi hogi.....

Janm ka Paksh ka Gyan....
Dhruvank ko 3 se Guna ka 2 ka bhag dene par ek shesh rahe to Shukl paksh ka Janm ... baki jo rahe to Krishn paksh ka Janm jane.....

janm Tithi ka Gyaan...
dono hatho ki Madhyma Anguli ke dusre aur tisre parv ki khadi rekhaon ko ginkar usme 32 jod de uske baad Yogphal ko 7 se guna kar usme 15 ka bhag de...... jo shesh rahe vah Janm ke samay ki Tithi hogi......

Janm Month.....
Sury ...... Mesh.... April May ka Janm
Sury....... Vrash....May Jun ka janm Aisa kram se maane.....

Janm ka Samay.....
shukr Parvat par Sthit dono hatho ki Rekhaon ko gine,,,, aadhi aur chhoti rekhao ko yog kare.... Mesh Rashi se usko ginkar sury ki Rashi Gyat kare.... Yadi ye Rekhaye Baaye haath ki apeksha Dahine haath ki saaf aur achhi hai to Suryoday ke turant baad ka JAnm....
Yadi Baye Haath ki rekhaye saaf hai to Suryoday se pahle ka Janm....

Janm nakshtra.....
dono hatho ki Anamika ke dusre aur tisre parv ki khadi rekhao me, aur Tarjni aur Madhyma ki bhi dusre aur tisre parv ki rekhaon ko gin le.... sare yogphal me 30 ka bhag de jo shesh bache vahi Janm samay ka Nakshtra hoga....

Janm Lagn aur Janm Navmans.....
aur Chandr rashi....
Dahine haath ki charo anguliyo aur Anguthe ke tisre parv tak sari rekhaye jodkar unme se 3 ghataye.. yadi yah sankhya 108 se adhik aati hai to usme se 108 ghata kar shes ko 9 se bhag dijiye.... jitni bar bhag jayega vah Lagn hota hai..... jo shesh bachega vah Navmans hoga.....
Dono Hatho ki Hirday Rekha aur uske ant me uski sahayak rekhayo sahit ganna kariye aur 12 se bhag dijiye....jo shesh sankhya aayegi vah jatak ki Chandr Rashi hogi......
Anguthe ke pratham parv aur dvitiy par se month and year niklenge Anguthe ke side me jo rekhaye hogi vo jatak ki janm dinak hogi.

No comments: